Shadi Ki Bandash Ka Tor
Shadi Ki Bandash Ka Tor: Tmam Waaldain apni aulad ki jald se jald shadi krwana chahte hain or apni zimadari sa farigh ho jana chahtay hain. Her bap ki koshesh hoti ha k wo apne jetage (yani apni zingdgi hi main apni aulad ki shadi kerwa lay) Islam main nikah ak sunat amal ha. Islam main nikah siraf jinsi taluqat qaim krny ka name nhi balkay ya mhashrati, samaji, or Azdwaji zroreyat ko made nazr rakhtay huye islam main nikah ka amil lazmi qarar deya geya ha.Islam main is ki ehmeyat boht zeyada ha.Sab hi waldain apni aulad ki shadi ka bary main fikar or koshesh main lagy rehte hain taka aun ki aulad ki jald az jald shadi ho skay.Lakin waldain ki fikar or koshesh ka bawajud aise kai mamlay dakhne main samne atay hain.Jhan larkoun or larkeyoun ki shadi main takheer ho jati ha.
Shadi jinsi talluqat qayiem krne ka jayz tareeqa ha or is ka sath sath insan ki mhashrati ,samaji or azdwaji zrureyat ko pura krne ka zareha bi ha. Shadi ki ehmeyeat sa ap sabhi waaqif hain. Or islam main is ka leya nikah ko lazmi shart qarar deya geya ha.Ager mahashray pr nazr dalein to Allah pak ne her cheez ka joray ata farmay hain. Ager insan thori si nazr dale k ya sab joray ata krne ka maqsad keya ha. Zara goro fiker kr k dakheeye ga. Ya sab jore Allah pak ne is leya ata keye hain taka is dunyan ka nizam or silsila aage barh sake or is k sath sath in ki nasal aage barh sake. Or insani jorey ka maqsad bi yahi ha. Insan shadi kr ka nikah krta ha. Or phr jinsi taluqat qaiem kr ka aulad paida krta ha jo barhapay main os ka shara hoti ha. Or is k elawa ak dosrey ki zindgi ka ham safer bi ban jate hain or apna gahr qaiem krne ki musarrat bi hasil hoti ha. Lakin in sab batoun ka bawajood aise kai log hain jo shadi ka nam se bathe huae hain. Boht si larkeyan achay rishtay ane k bawajood saf inkar kr dati hain. Kai gahir shadi shuda larka dolatmand hone ka bawajood shadi karne ka nam hi ni late.
Ager is haqeeqat pr ghor keya jaye to hamain ya samaj main aata ha k ya sab waqehat ghair qudarti hain. Yani larkeyoun ka bilawaja ache rishtoun sa inkar or khushhal khandanoun ka larkoun ka shadi se dur bhagna ha. Akhir ya aisa kun krte hain, ager in pr zra ghoro fiker keya jay to hamain ya Result mile ga k jo log in ka dushman hote hain wo in ki shadi ki bandash lagwa date hain.
Shadi ki bandash lagwane ki kai wajuhat ho sakti hain, jaise k dushman badle ki aag ya phr jaydad ki lalach main a kr on ko nuqsan da data ha.Is ka elawa aise kai log hain jin ki shadi hone se dusroun ko khatra mahsos hota ha. Msal ka tor pr ager do bhi hain or un main sa bray bahi ki shadi ho jati ha or us ki biwi ko apne dawer ki shadi sa khatra mahsos ho, or vo ya sochty ha ka is ki sadi ho kr is ki aulad ho gi or bray bahi ka hisa ghat jay ga. Aise main kai aurtain apne dawroun ki shadi pr khamoshi sa bandash lagwa dati hain. Sab samajtay rehtay hain k chota bahi khud hi shadi ni krna chahta, lakin asal waja kuch or hoti ha.Mager gabrane ki zrurat ni ap ko is ka bi hal mojud ha.Ager oper wali bat pa nazr dalien jasay Allah pak ne her chiez ka jorey ata keye hain,Or isi tara tor or jor ka hal bi samaj main hamaien yahein sa mil jata ha.
Is lye larkay or larkeyan shadi sa inkar krein ya phr un ki shadi ki bat kahein bi ho pakki na ho paay or bar bar tot۔ti rahe to aise masloun ki rohani janch karwani lazmi hoti ha. Aisa krne se dushman ki bi shanakht ho sakti ha, kunke un main akser bahad aziz hi nikalta hain jo ap ko azeyat dane pr tule hote hain. Or bahz oqat ap ka purine dushman bi ho sakte hain.